Wednesday, May 23, 2012

Mujhe kya bechega rupaiya : Satyameva Jayate



Composer: Ram Sampath
Lyricist: Swanand Kirkire
Singer: Sona Mahapatra


Babul pyare sajna sakha re
Suno o meri maiyya
Bojh nahi main kisi ke sar ka
Naa majhdhar mein naiyya
Patwar banoongi, leharon se ladungi
Arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho arey mujhe kya bechega rupaiya

Kal baba ki ungli ko thaame chali thi
Kal baba ki lathi bhi bann jaaungi
Amma tere gharonde ki chidiya hoon main
Daana lekar hi wapas ghar aaungi

Jiski fitrat mein hairat samaayi nahi
Jisko daulat se zyada main bhaayi nahi
Aise saajan ki mujhko zaroorat nahi
Naa kehne ka sun lo muhurat yahi
Akeli chalungi, Kismat se milungi
Arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho ho ho..

Dil se dil ke taar toh jude nahi
Do rasmon pe daulat ye kaahe bahe
Hum toh pyaar ki khwahish mein rishte bunein
Do rishton mein lalach hum kaahe sahein
Kya shaadi ke aage zindagi hi nahi
Jo shaadi hisaabo ki keval hai bahi
Aise saajan ki mujhko zaroorat nahi
Naa kehne ka sun lo muhurat yahi
Subaha si khilungi, Ratiya si bharungi
Arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho arey mujhe kya bechega rupayya


2 comments:

indu chhibber said...

excellent song-thanks for sharing

Good Life said...

Thanks Indu,yes the lyrics are wonderful!!!